Tumain hum piyar karte hain

            Ghazal
Tumain hum piyar karte hain
Juda hone se darte hain, tumain hum piyar karte hain
tumain khone se darte hain, tumain hum piyar karte hain

Yeh khawhis hai dil e sada, kabhi to do didar apna
tanaza e toor hal kar do, tumain hum piyar karte hain

Mera tum maan rakh laina, tumain hum piyar karte hain
Sitam tum soch kar karna, tumain hum piyar karte hain

Tumain janan ijazat hai, jo chahoo tum to janan le lo
faqat ik bar keh do tum, tumain hum piyar karte hain

Mohabbat ka yeh hissa hai, Mannana rothna humdum!!
bura iss ko na jano tum, tumain hum piyar karte hain

Kabhi na todr pauon joo, deware-e-anna ko mein!!
isse tum khud gira dena, tumain hum piyar karte hain

zamana dil mein badrkaey, kabhi jo aatishe nafarat!
isse mat tum hawa deina, tumain hum piyar karte hain

Hamain maloom hai "Sahir", kisi din sahir ankhon se !!
woh keh de ga khamoshi se, tumain hum piyar karte hain

Hamain maloom hai "Sahir", ke kis ka haath hai is mein


aa gayii yaad sham Dhalte hii

                     Ghazal
aa gayii yaad sham Dhalte hii
bujh gayaa dil chiraaGh jalte hii

khul gaye shahr-e-Gham ke darvaaze
ek zaraa sii havaa ke chalte hii

kaun thaa tuu ke phir na dekhaa tujhe
miT gayaa Khvaab aaNkh malte hii

tuu bhii jaise badal saa jaataa hai
aks-e-diivaar ke badalte hii

aa gayii yaad sham Dhalte hii

                    Ghazal
'Aana meri qabar per do phool chadha jana
Rona na aye muskurke chale jana meri qabar pe ek baar zaroor ana
Mager shart hai ansoo na bahana
Taklif hogì rooh ko bhi aansoo jo aapke niklenge
Rooh royegi meri rooh ko na tadpaya karna
Tere khuwabom mein aya karunga zaroor kabhi yaad karke meri mohabat ko aazmaya karna
Meri qabar pe phool na chadhana ansoovon ke
Bas aakar qabar pe apni mohabat ka saya karna
Meri dua hai tera ghar khushboo se bhara rahe
Tun khushi ki har mehfil mein jaya karna
Meri yaad mein na khona kabhi udaas hokar
Apne humsafar ki agosh mein sojaya karna
Kabhi roker mat pukarna mujhae
Main whan se wapis nahi avunga